Saturday 5 June 2010

आप न Sahi

Aap na sahi,
Aapke khyal to apne hain!
Mehbooba na sahi,
Uske sapne to apne hain!!

Haqiqat mein nahi,
Nazron mein phir bhi aati hai!
Use choo nahi sakte,
Uska ehsaas to harpal hai!!

Raasta dikhaati har maud pe,
Hamsafar ki jaanib sada!
Ta-manzil saath dene ka,
Zunoon to aapke khayalon ka bhi hai!!

जादू आपके ख्यालों Ka

Aapke Khyalon Ka Jadoo


Kisi khoobsurat chehre ka didar hota hai jab,
Aap jaane kahan se chale aate ho usime muskaraate huye,
Manzar koi ghazab ka dil se dochaar hota hai jab,
Tab bhi jaane kyon aap hi nazar aati ho!

Aapke khyalon mein doob jaate hain hum jab,
Noor bahist ka hamare chehre pe dikhta hai kyon,
Kyon ‘cool’ aur ‘smart’ log hamein kehte hain tab,
Hamare khyali khwabon se jab aap guzar rahi hoti ho!

Log kisi heroine ko apna idol batate hain jab,
Duniya jhoom uthati hai dekh kar jise,
Meri nazaron mein siraf aap hi heroine dikhti ho,
Aap hi mera ‘idol’ aur sabse sunder hoti ho!

Paas mein hi hasti dikhai deti ho,
Jab bhi hasi-khusi ka maahol hota hai,
Kabhi ghum ka ikhtiar hota hai gar,
Tab bhi tanhai mein saath aap hi deti ho!

Aapse badhkar lagta na hamein koi is zahaan mein,
Aap hi saathi mere ‘dukh-sukh’ mein,
Hamari saari duniya ban gayi ho sab tarah se,
Bhagwan ki aankhon mein bhi aap hi sazi dikhti ho!

Jadoo aapke khyalon ka hai is qadar zindagi mein,
Aas-paas mehsoos hoti ho hamesha eik devi ke jaise,
Hamare dil ke sab armaan poore karne ke liye,
Wohi shararati hasi liye saamne harpal aa jaati ho!!!